Nazeer Akbarabadi

jo tumne puchha to harf-e-ulfat bar aaya sahib hamare lab se

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
jo tum ne pūchhā to harf-e-ulfat bar aayā sāhib hamāre lab se
so is ko sun kar hue ḳhafā tum na kahte the ham isī sabab se
na dete ham to kabhī dil apnā na hote hargiz ḳharāb-o-rusvā
vale kareñ kyā ki tum ne ham ko dikhā.īñ jhumkīñ ajab hī chhab se
vo ja.ad-e-mushkīñ jo din ko dekhe to yaad us kī meñ shaam hī se
ye pech-o-tāb aa ke dil se uljhe ki phir sahar tak na suljhe shab se
lagā.ī funduq jo ham ne us kī kalā.ī pakḌī to hañs ke bolā
ye uñglī pahuñche kī yaañ na Thahrī bas aap rahiye zarā adab se
kahā thā ham kuchh kaheñge tum se kahā to aisā ki ham na samjhe
samajhte kyūñ-kar ki us ne lab se suḳhan nikālā kuchh aise Dhab se
havas to bose kī hai nihāyat pa kījiye kyā ki bas nahīñ hai
jo dastaras ho to misl-e-sāġhar lagāveñ lab ko ham un ke lab se
kisī ne pūchhā 'nazīr' ko bhī tumhārī mahfil meñ baar hogā
kahā ki hogā vo bolā kab se kahā kabhū kā kabhī, na ab se
Top Urdushayar.com