bahr-e-hastī meñ sohbat-e-ahbāb
yuuñ hai jaise barū-e-āb-e-habāb
gardish-e-āsmāñ meñ ham kyā haiñ
par-e-kāhe miyāna-e-gardāb
bāda-e-nāb kyā hai ḳhūn-e-jigar
zardī-e-rañg hai shab-e-mahtāb
jis ko raqs-o-surūd kahte haiñ
vo bhī hai ik havā-e-ḳhana-ḳharāb
umr kahte haiñ jis ko vo kyā hai
misl-e-tahrīr mauj-e-naqsh-bar-āb
jism kyā ruuh kī hai jaulā-nigāh
ruuh kyā ik savār-e-pā-ba-rikāb
husn aur ishq kyā haiñ ye bhī haiñ
ḳhatfa-e-barq-o-qatra-e-sīmāb
zindagānī-o-marg bhī kyā haiñ
ek misl-e-ḳhayāl-o-dīgar-e-ḳhvāb
fursat-e-umr qatra-e-shabnam
vasl-e-mahbūb gauhar-e-nāyāb
kyuuñ na ishrat do-chand ho jo hai
yaar mah-chehra aur shab-e-mahtāb
sab kitāboñ ke khul ga.e ma.anī
jab se dekhī 'nazīr' dil kī kitāb