dil ham ne jo chashm-e-but-e-bebāk se bāñdhā
phir nashsha-e-sahbā se na tiryāk se bāñdhā
us zulf se jab rabt huā jī ko to ham ne
shāne kā tasavvur dil-e-sad-chāk se bāñdhā
dekhā na qad-e-sarv ko phir ham ne chaman meñ
jis din se dil us qāmat-e-chālāk se bāñdhā
jo āhū-e-dil bhā gayā us sad-fagan ko
jhap us ne use kākul-e-pechāk se bāñdhā
aur jo na pasand aayā use vo to 'nazīr' aah
ne said kiyā us ko na fitrāk se bāñdhā