Nazeer Akbarabadi

mizhgan wo jhapakta hai ab tir hai aur main hun

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
mizhgāñ vo jhapaktā hai ab tiir hai aur maiñ huuñ
sar paañv se chhidne kī tasvīr hai aur maiñ huuñ
kahtā hai vo kal tere purze maiñ uḌāūñgā
ab sub.h ko qātil kī shamshīr hai aur maiñ huuñ
be-jurm-o-ḳhatā jis kā ḳhuuñ hove ravā yaaro
us ḳhūbi-e-qismat kā naḳhchīr hai aur maiñ huuñ
hai qatl kī dhun us ko aur merī nazar haq par
tadbīr hai aur vo hai taqdīr hai aur maiñ huuñ
dil TuuTā 'nazīr' ab to do-chār baras ro kar
is qasr-e-shikasta kī ta.amīr hai aur maiñ huuñ
Top Urdushayar.com