dekh aqd-e-surayyā hameñ añgūr kī sūjhī
kyuuñ bāda-kashāñ ham ko bhī kyā duur kī sūjhī
ġhash khā ke girā pahle hī sho.ale kī jhalak se
muusā ko bhalā kahiye to kyā tuur kī sūjhī
ham ne to use dekh ye jaanā ki parī hai
pariyoñ ne jo dekhā to unheñ huur kī sūjhī
dekhā jo nahāne meñ vo gorā badan us kā
billor kī chaukī pe jhalak nuur kī sūjhī
sar paañv se jab phañs ga.e us zulf-e-siyah meñ
jab ham ko syāhī-e-shab-e-dījūr kī sūjhī
jannat ke liye shaiḳh jo kartā hai ibādat
kī ġhaur jo ḳhātir meñ to mazdūr kī sūjhī
masnūa meñ sān.e.a nazar aave to 'nazīr' aah
nazdīk kī phir kyā hai jahāñ duur kī sūjhī