ḳhushī se ranj kā badlā yahāñ nahīñ miltā
vo mil ga.e to mujhe āsmāñ nahīñ miltā
hazār DhūñDiye us kā nishāñ nahīñ miltā
jabīñ mile to mile āstāñ nahīñ miltā
majāz aur haqīqat kuchh aur hai yaanī
tirī nigāh se terā bayāñ nahīñ miltā
bhaḌak ke shola-e-gul tū hī ab lagā de aag
ki bijliyoñ ko mirā āshiyāñ nahīñ miltā
tirī talāsh kāfi-ul-jumla mā-hasal ye hai
ki tū yahāñ nahīñ miltā vahāñ nahīñ miltā
batā ab ai jaras-e-daur maiñ kidhar jā.ūñ
nishān-e-gard-e-rah-e-kārvāñ nahīñ miltā
mujhe bulā ke yahāñ aap chhup gayā koī
vo mehmāñ huuñ jise mezbāñ nahīñ miltā
tujhe ḳhabar hai tire tīr-e-be-panāh kī ḳhair
bahut dinoñ se dil-e-nā-tavāñ nahīñ miltā
kisī ne tujh ko na jaanā magar ye kam jaanā
ye raaz hai ki koī rāz-dāñ nahīñ miltā
mujhe aziiz sahī qadr-e-dil tumheñ kyuuñ ho
kamī to dil kī nahīñ dil kahāñ nahīñ miltā
dayār-e-umr meñ ab qahat-e-mehr hai 'fānī'
koī ajal ke sivā mehrbāñ nahīñ miltā