Nazeer Akbarabadi

sab ThaTh ye ek bund se qudrat ki bana hai

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
sab ThāTh ye ik buuñd se qudrat kī banā hai
yaañ aur kisī kī na manī hai na manā hai
bil-farz agar ham hue havvā ke shikam se
aadam ke ta.iiñ dekhiye vo kis kā janā hai
yaañ log dūlhan dūlhā ke qisse meñ phañse haiñ
vaañ aur bunat hai na banī hai na banā hai
hikmat kā ulaT-pher nahīñ jin kī nazar meñ
vo kahte haiñ ġhāfil ye baqā hai ye fanā hai
le arsh se tā-farsh jo raushan hai tilismāt
ye nuur sab us nuur kī chhalnī se chhanā hai
ham kachche se kachchā ise samjhe haiñ vagarna
us deg ke chāval meñ kanī hai na kanā hai
milnā bhī ġharaz kā hai laḌā.ī bhī ġharaz kī
nahīñ aur kisī se koī rūThā na manā hai
hājat na bar aa.ī to vahīñ karne lage hajv
aur ho gayā matlab to haiñ vasf-o-sanā hai
yābis kahīñ martūb kahīñ garm kahīñ sard
misrī meñ kahīñ zahr halāhil meñ sanā hai
ek is kī davā samjhī nahīñ jaatī 'nazīr' aah
kuchh zor hī ma.ajūn kā nusḳha ye banā hai
Top Urdushayar.com