muñh se parda na uThe sāhab-e-man yaad rahe
phir qayāmat hī ayaañ hai ye suḳhan yaad rahe
chhoḌo itnī na zabāñ ġhuncha-dahan yaad rahe
phir hamāre bhī dahan hai ye suḳhan yaad rahe
kūcha-gardoñ meñ nahīñ ham jo ye kūcha chhoḌeñ
ḳhaak karnā hai hameñ yaañ hai badan yaad rahe
ahd aane kā kiyā hai to girah band meñ de
is se shāyad tujhe ai ahd-shikan yaad rahe
aap ke kūche ko ham kāba-e-maqsūd samajh
bhuul baiThe haiñ sab ārām-e-vatan yaad rahe
harf uTh jaane kā kah baiThe ho ab to lekin
phir na kahiyegā kabhī qibla-e-man yaad rahe
sau chaman ek faqat mukhḌe meñ us ke haiñ 'nazīr'
jab ye sūrat ho to phir kis ko chaman yaad rahe