Nazeer Akbarabadi

dil ko le kar humse ab jaan bhi talab karte hain aap

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
dil ko le kar ham se ab jaañ bhī talab karte haiñ aap
lījiye hāzir hai par ye to ġhazab karte haiñ aap
morid-e-taqsīr gar hote to lāzim thī sazā
ye jafā phir kahiye ham par kis sabab karte haiñ aap
karte ho abrū se kushta ruḳh se dete ho jilā
husn meñ e.ajāz kyā kyā roz-o-shab karte haiñ aap
qais se jo thā kiyā dar-parda lailā ne sulūk
so vahī ai mehrbāñ ham se bhī ab karte haiñ aap
be-kalī hotī hai hasrat se dil-e-sad-chāk ko
apnī zulf-e-ambarīñ ko shāna jab karte haiñ aap
ham ne pūchhā phir bhī us kī jaañ phirī sab jism meñ
naza.a meñ duurī se jis ko jāñ-ba-lab karte haiñ aap
hañs ke farmāyā 'nazīr' apnī duā-e-lutf se
ye bhī ho saktā hai kyā is kā ojab karte haiñ aap
Top Urdushayar.com