mahfil meñ ham the is taraf vo shoḳh chanchal us taraf
thī sāda-lauhī is taraf makr-o-fusūñ chhal us taraf
baiThe ham apne dhyān meñ baiThā vo apnī aan meñ
fikr-e-nazāra is taraf mukhḌe par āñchal us taraf
kyā kyā dikhātī hai alam kyā kyā rakhe hai pech-o-ḳham
aahoñ kī shorish is taraf zulf-e-musalsal us taraf
ham de ke dil haiñ rañj-kash vo le ke dil hai jī meñ ḳhush
be-tābī-e-jāñ is taraf rāhat ḳhushī kal us taraf
aaj us se milne ko 'nazīr' ahvāl hai dil kā ajab
ham khīñchte haiñ is taraf kahtā hai vo chal us taraf