Fani Badayuni

sitam-ijad rahoge sitam-ijad rahe

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
sitam-ījād rahoge sitam-ījād rahe
is meñ ab shaad rahe yā koī nāshād rahe
aap ne ahd kiyā hai mirī ġham-ḳhvārī kā
ab ijāzat ho to ye ahd mujhe yaad rahe
gar mirī tauba ko maqbūl shikast-e-tauba
merī tadbīr meñ taqdīr kī uftād rahe
qaid-e-hastī se bahut tum ne kiye haiñ āzād
koī is qaid-e-mohabbat kī bhī mī.ād rahe
vo ḳhudā.ī ho to ho shān-e-tajallī to nahīñ
jis tajallī meñ nigāhoñ ko ḳhudā yaad rahe
zulm hai tujh se ba-taqrīb-e-takalluf mansūb
varna taqdīr-e-vafā ye hai ki barbād rahe
dil-e-ābād kā 'fānī' koī mafhūm nahīñ
haañ magar jis meñ koī hasrat-e-barbād rahe
Top Urdushayar.com