hai ab to ye dhun us se maiñ aañkh laḌā lūñgā
aur chuum ke muñh us kā siine se lagā lūñgā
gar tiir lagāvegā paiham vo nigah ke to
maiñ us kī jarāhat ko hañs hañs ke uThā lūñgā
dil jaate udhar dekhā jab maiñ ne 'nazīr' us ko
rokā are vo tujh ko legā to maiñ kyā lūñgā
vaañ abrū-o-mizhgāñ ke haiñ teġh-o-sināñ chalte
Tuk soch to maiñ tujh ko kis kis se bachā lūñgā
paḌ jāvegī jab shah vo ai dil to bhalā phir maiñ
kyā aap ko thāmūñgā kyā tujh ko sañbhālūñgā