Nazeer Akbarabadi

dikha kar ek nazar dil ko nihayat kar gaya bekal

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
dikhā kar ik nazar dil ko nihāyat kar gayā bekal
parī-rū tund-ḳhū sarkash haTelā chulbulā chanchal
vo aariz aur jabīñ-tābāñ ki hoñ dekh us ko sharminda
qamar ḳhurshīd zohra sham.a sho.ala mushtarī mash.al
kafoñ meñ uñgliyoñ meñ la.al meñ aur chashm-e-maigūñ meñ
hinā aafat sitam funduq misī jaadū fusūñ kājal
badan meñ jāma-e-zar-kash sarāpā jis pe zeb-āvar
kaḌe bunde chhaḌe chhalle añgūThī nau-ratan haikal
nazākat aur latāfat vo kaf-e-pā tak ki hairāñ huuñ
saman gul laala nasrīñ nastaran darparniyāñ maḳhmal
sarāsar pur-fareb aisā ki zāhir jis kī nazroñ se
sharārat shoḳhī ayyārī tarah phurtī daġhā chhalbal
'nazīr' ik umr-e-ishrat ho mile aisā parī-paikar
agar ik aan agar ik dam agar ik chhan agar ik pal
Top Urdushayar.com