Nazeer Akbarabadi

rakhta hai sada honT ko jun gul ki kali chup

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
rakhtā hai sadā hoñT ko juuñ gul kī kalī chup
vo ġhuncha-dahan aah ye sīkhā hai bhalī chup
sotā hai to letā huuñ maiñ yuuñ chorī se bosa
juuñ muñh meñ khilā de koī misrī kī Dalī chup
minnat se kahā ham ne to tum aah na bole
jab ġhair ne kī gudgudī phir kuchh na chalī chup
parvāne se āshiq ke ta.iiñ sham.a jalā kar
phir aap bhī rotī hai khaḌī baḳht-jalī chup
sabzī bhī ugī baaġh meñ ġhunche bhī khile aah
par is marī gūñgī ke laboñ se na Talī chup
ġhusse meñ raqīb aatā hai jab bhuut sā ban kar
paḌhtā huuñ maiñ jab dil meñ khaḌā na.at-e-alī chup
mar jaa.eñ pa shikve kī kabhī baat na nikle
ye hoñT vo haiñ jin meñ azal se hai palī chup
jis dam ye ḳhabar jā ke raqīboñ ko huī phir
bas sunte hī sun ho ga.e aur saañs na lī chup
ulTī hī samajh yaar kī suntā hai 'nazīr' aah
zinhār na kuchh boliyo yaañ sab se bhalī chup
Top Urdushayar.com