Nazeer Akbarabadi

yan to kuchh apni KHushi se nahin hum aae hue

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
yaañ to kuchh apnī ḳhushī se nahīñ ham aa.e hue
ik zabardast ke haiñ khīñch ke bulvā.e hue
aate hī ro.e to aage ko na roveñ kyūñ-kar
ham to haiñ roz-e-talavvud hī ke dukh paa.e hue
dekh kar ġhair ke saath us ko kahā yuuñ ham ne
ho to tum chāñd par is vaqt ho gahnā.e hue
kal jo gulshan meñ ga.e ham to ajab shakl se aah
hijr ke maare hue jī se ba-tañg aa.e hue
gul jo taaze the khile kahte the shabnam se ye baat
dekh kar un ko jo vo phuul the kumhlā.e hue
aaj haiñ shāḳh pe jis taur se pazhmurda 'nazīr'
kal isī tarah se ham hoveñge murjhā.e hue
Top Urdushayar.com