dil ko chashm-e-yār ne jab jām-e-mai apnā diyā
un se ḳhush ho kar liyā aur kah ke bismillāh piyā
dekh us kī jāma-zebī gul ne apnā pairahan
is qadar phāḌā ki bulbul se nahīñ jaatā piyā
be-qarārī ne nigāh-e-sīmbar pherī idhar
kī ināyat ham ko us sīmāb ne ye kīmiyā
us ke kūche meñ jise jā baiThne ko mil ga.ī
masnad-e-zarbāf par ġhālib hai us kā boriyā
dil chhupā baiThā to us zulf-e-musalsal se 'nazīr'
ai asīr-e-dām-e-nā-fahmī ye tū ne kyā kiyā