Nazeer Akbarabadi

kuchh to ho kar du-badu kuchh Darte Darte kah diya

Nazeer Akbarabadi

Delhi, India

1735-1830
kuchh to ho kar dū-badū kuchh Darte Darte kah diyā
dil pe jo guzrā thā ham ne aage us ke kah diyā
bātoñ bātoñ meñ jo ham ne dard dil kā bhī kahā
sun ke bolā tū ne ye kyā bakte bikte kah diyā
ab kaheñ kyā us se hamdam dil lagāte vaqt-e-āh
thā jo kuchh kahnā so vo to ham ne pahle kah diyā
chaah rakhte the chhupā.e ham to lekin us kā bhed
kuchh to ham ne sāmne us ham-nashīñ ke kah diyā
ye sitam dekho zarā muñh se nikalte hī 'nazīr'
us ne is se is ne us se kah diyā
Top Urdushayar.com