ham ki maġhlūb-e-gumāñ the pahle
phir vahīñ haiñ ki jahāñ the pahle
ḳhvāhisheñ jhurriyāñ ban kar ubhrīñ
zaḳhm siine meñ nihāñ the pahle
ab to har baat pe ro dete haiñ
vāqif-e-sūd-o-ziyāñ the pahle
dil se jaise koī kāñTā niklā
ashk āñkhoñ se ravāñ the pahle
ab faqat anjuman-ārā.ī hai
e'tibār-e-dil-o-jāñ the pahle
dosh pe sar hai ki hai barf jamī
ham ki sho.aloñ kī zabāñ the pahle
ab to har taaza sitam hai taslīm
hādse dil pe girāñ the pahle
merī ham-zād hai tanhā.ī mirī
aise rishte bhī kahāñ the pahle