adā se aaḌ meñ ḳhanjar ke muñh chhupā.e hue
mirī qazā ko vo laa.e dulhan banā.e hue
ilāhī kyuuñ nahīñ hotī koī balā nāzil
asar hai der se dast-e-duā uThā.e hue
tirī lagā.ī huī aag hashr tak na bujhī
hue na mar ke bhī ThanDe tire jalā.e hue
balā-e-jāñ hai magar phir bhī aarzū hai tirī
ham us ko apne kaleje se haiñ lagā.e hue
sahar huī ki vo yādash-ba-ḳhair aatā hai
charāġh haiñ mirī turbat ke jhilmilā.e hue
tumhīñ kaho ki tumheñ apnā samajh ke kyā paayā
magar yahī ki jo apne the sab parā.e hue
kisī kā haa.e vo maqtal meñ is tarah aanā
nazar bachā.e hue āstīñ chaḌhā.e hue
ajal ko muzhda-e-fursat ki aaj 'fānī'-e-zār
umīd-e-vasl se baiThā hai lau lagā.e hue