vādi-e-shauq meñ vārafta-e-raftār haiñ ham
be-ḳhudī kuchh to batā kis ke talabgār haiñ ham
haañ abhī be-ḳhabar-e-lazzat-e-āzār haiñ ham
muzhda ai mashq-e-sitam taaza giraftār haiñ ham
ho ġham-e-hastī-e-jāved gavārā kyūñkar
jaan kyā deñ ki bahut jaan se be-zār haiñ ham
maiñ ne goyā sila-e-mehr-o-vafā bhar paayā
kaash itnā hī vo kah deñ ki jafākār haiñ ham
yuuñ to kuchh ġham se sarokār na rāhat kī talāsh
ġham koī dil ke evaz de to ḳharīdār haiñ ham
vo hai muḳhtār sazā de ki jazā de 'fānī'
Do-ghaḌī hosh meñ aane ke gunahgār haiñ ham