Fani Badayuni

ai ajal ai jaan-e-fani tu ne ye kya kar diya

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
ai ajal ai jān-e-'fānī' tū ne ye kyā kar diyā
maar Daalā marne vaale ko ki achchhā kar diyā
jab tirā zikr aa gayā ham daf.atan chup ho ga.e
vo chhupāyā rāz-e-dil ham ne ki ifshā kar diyā
kis qadar be-zār thā dil mujh se zabt-e-shauq par
jab kahā dil kā kiyā zālim ne rusvā kar diyā
yuuñ churā.īñ us ne āñkheñ sādgī to dekhiye
bazm meñ goyā mirī jānib ishārā kar diyā
dardmandān-e-azal par ishq kā ehsāñ nahīñ
dard yaañ dil se gayā kab thā ki paidā kar diyā
dil ko pahlū se nikal jaane kī phir raT lag ga.ī
phir kisī ne āñkhoñ āñkhoñ meñ taqāzā kar diyā
ranj paayā dil diyā sach hai magar ye to kaho
kyā kisī ne de ke paayā kis ne kyā pā kar diyā
bach rahā thā ek āñsū-dār-o-gīr-e-zabt se
joshish-e-ġham ne phir is qatre ko dariyā kar diyā
'fānī'-e-mahjūr thā aaj ārzū-mand-e-ajal
aap ne aa kar pashīmān-e-tamannā kar diyā
Top Urdushayar.com