aah se yā aah kī tāsīr se
jī bahal jaatā kisī tadbīr se
ab se ġham sahne kī aadat hī sahī
sulh kar leñ laao charḳh-e-pīr se
jabr ko kyūñkar na samjhūñ iḳhtiyār
tum ne bāñdhā hai mujhe zanjīr se
kaam ab us tadbīr par hai munhasir
vāsta jis ko na ho taqdīr se
us nigāh-e-nāz kā allāh re faiz
nisbateñ haiñ zaḳhm-e-dil ko tiir se
hoshiyār o shoḳh-e-be-parvā-ḳhirām
bach ke merī ḳhāk-e-dāman-gīr se
ishq-e-'fānī' us pe apnī ye bisāt
kheltī haiñ bijliyāñ tasvīr se