Fani Badayuni

nahin manzur tap-e-hijr ka ruswa hona

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
nahīñ manzūr tap-e-hijr kā rusvā honā
tere bīmār kā achchhā nahīñ achchhā honā
nāsehā vus.at-e-kāshāna junūñ-ḳhez nahīñ
varna kyā farz hai āvāra-e-sahrā honā
bas ab ai zabt ziyāda mujhe mahjūb na kar
hai mirī aañkh kī taqdīr meñ dariyā honā
kis se khulte haiñ tirī zulf-e-girah-gīr ke bal
koī āsān hai ye uqda-e-dil vā honā
nigah-e-nāz ko āsāñ dam-e-ḳhanjar banñā
lab-e-jāñ-baḳhsh ko dushvār masīhā honā
haa.e bātoñ meñ tirī laġhzish-e-mastāna-e-nāz
haa.e āñkhoñ meñ tirī nashsha-e-sahbā honā
hama-tan dāġh-e-ġham-e-ishq-e-butāñ huuñ 'fānī'
dil se bhātā hai mujhe naqsh-e-suvaidā honā
Top Urdushayar.com