Fani Badayuni

jab pursish-e-haal wo farmate hain jaaniye kya ho jata hai

Fani Badayuni

Badayun, Uttar pradesh, India

1879-1941
jab pursish-e-hāl vo farmāte haiñ jāniye kyā ho jaatā hai
kuchh yuuñ bhī zabāñ nahīñ khultī kuchh dard sivā ho jaatā hai
ab ḳhair se un kī bazm kā itnā rañg to badlā mere ba.ad
jab naam mirā aa jaatā hai kuchh zikr-e-vafā ho jaatā hai
yaktā-e-zamāna hone par sāhab ye ġhurūr ḳhudā.ī kā
sab kuchh ho magar ḳhākam-ba-dahan kyā koī ḳhudā ho jaatā hai
qatra qatra rahtā hai dariyā se judā rah sakne tak
jo tāb-e-judā.ī lā na sake vo qatra fanā ho jaatā hai
phir dil se 'fānī' saare ke saare naqsh-e-jafā miT jaate haiñ
jis vaqt vo zālim sāmne aa kar jān-e-hayā ho jaatā hai
Top Urdushayar.com