kisī ke ek ishāre meñ kis ko kyā na milā
bashar ko ziist milī maut ko bahāna milā
mazāq-e-talḳh-pasandī na pūchh is dil kā
baġhair marg jise ziist kā mazā na milā
dabī zabāñ se mirā haal chārasāz na kah
bas ab tū zahr hī de zahr meñ davā na milā
ḳhudā kī den nahīñ zarf-e-ḳhalq par mauqūf
ye dil bhī kyā hai jise dard kā ḳhazāna milā
duā gadā-e-asar hai gadā pe takiya na kar
ki e'timād-e-asar kyā milā milā na milā
zuhūr-e-jalva ko hai ek zindagī darkār
koī ajal kī tarah der-āshnā na milā
talāsh-e-ḳhizr meñ huuñ rū-shanās-e-ḳhizr nahīñ
mujhe ye dil se gila hai ki rahnumā na milā
nishān-e-mehr hai har zarra zarf-e-mehr nahīñ
ḳhudā kahāñ na milā aur kahīñ ḳhudā na milā
mirī hayāt hai mahrūm-e-muddā-e-hayāt
vo rahguzar huuñ jise koī naqsh-e-pā na milā
vo nā-murād-e-ajal bazm-e-yās meñ bhī nahīñ
yahāñ bhī 'fānī'-e-āvāra kā patā na milā