justujū-e-nashāt-e-mub.ham kyā
dil mayassar hai lazzat-e-ġham kyā
masti-e-hosh ke fasāne haiñ
jashn-e-parvez o ishrat-e-jam kyā
ek aalam ko dekhtā huuñ maiñ
ye tirā dhyān hai mujassam kyā
izn hañgāma-e-nigāh na de
kyā hamārī bisāt aur ham kyā
nañg-e-rahmat hai ehtiyāj-e-duā
intizār-e-gadā-e-mubram kyā
merī fitrat hai gosh bar āvāz
sun rahā huuñ navā-e-mehram kyā
miT gayā nām-e-āshiqī ab aur
chāhtā hai vo husn-e-barham kyā
kaash pūchho to kuchh batā.eñ ham
hāsil-e-shikva haa.e bāham kyā
dil kamāl-e-hayāt hai 'fānī'
dil ke maare huoñ kā mātam kyā