kūcha-e-jānāñ meñ jā nikle jo ġhilmāñ bhuul kar
yaad ho us ko na phir gulzār-e-rizvāñ bhuul kar
sañg-dil be-mehr be-dīñ bevafā samjhe na ham
kar diye sadqe hasīnoñ par dil o jaañ bhuul kar
bosā-e-abrū ko le kar muñh pe khaa.ī ham ne teġh
kuchh kiyā tum ne na pās-e-teġh uryāñ bhuul kar
kar ke tauba qaul hai ab hazrat-e-dil kā yahī
ab kabhī leñge na nām-e-ishq-e-ḳhūbāñ bhuul kar
ḳhuuñ rulāyā umr bhar 'shaukat' firāq-e-yār ne
marte marte bhī na niklā koī armāñ bhuul kar