dil kī taraf hijāb-e-takalluf uThā ke dekh
ā.īna dekh aur zarā muskurā ke dekh
is daur meñ ye tarz-e-jafā aazmā ke dekh
dil ke bajā.e dil ke sukūñ ko miTā ke dekh
taslīm kī nazar se karishme razā ke dekh
begāngi-e-dost ko apnā banā ke dekh
is shorish-e-hayāt ko had se baḌhā ke dekh
ye fitna aur hashr se pahle uThā ke dekh
yuuñ dekhtā hai tīrgī-e-āb-o-gil meñ kyā
sholoñ se khel dil ko jalā aur jalā ke dekh
har zindagī kā naam na rakh dil kī zindagī
īmān zindagī pe na lā aazmā ke dekh
terī tajalliyoñ se kisī tarah kam nahīñ
dil kī tajalliyoñ ko kabhī dil meñ aa ke dekh
ab ke adā-e-ḳhās se kar imtihān-e-dil
jo barq tuur par na girī ho girā ke dekh
haañ ahl-e-dil ke haal se ġhaflat muhāl hai
achchhā yaqīñ nahīñ to mujhī ko bhulā ke dekh
duniyā ko dekhnā to mayassar nahīñ tujhe
zarre ko dekhnā hai to duniyā banā ke dekh
'fānī' safīna ab bhī na Duube to kyā kare
tūfān ko na dekh sitam nā-ḳhudā ke dekh