ibtidā-e-ishq hai lutf-e-shabāb aane ko hai
sabr ruḳhsat ho rahā hai iztirāb aane ko hai
qabr par kis shaan se vo be-naqāb aane ko hai
āftāb-e-sub.h-e-mahshar ham-rikāb aane ko hai
mujh tak us mahfil meñ phir jām-e-sharāb aane ko hai
umr-e-rafta palTī aatī hai shabāb aane ko hai
haa.e kaisī kashmakash hai yaas bhī hai aas bhī
dam nikal jaane ko hai ḳhat kā javāb aane ko hai
ḳhat ke purze nāma-bar kī laash ke hamrāh haiñ
kis DhiTā.ī se mire ḳhat kā javāb aane ko hai
nā-umīdī maut se kahtī hai apnā kaam kar
aas kahtī hai Thahar ḳhat kā javāb aane ko hai
ruuh ghabrā.ī huī phirtī hai merī laash par
kyā janāze par mere ḳhat kā javāb aane ko hai
bhar ke saaqī jām-e-mai ik aur lā aur jald lā
un nashīlī añkhḌiyoñ meñ phir hijāb aane ko hai
ḳhāna-e-tasvīr meñ aane ko hai tasvīr-e-yār
aa.ine meñ qadd-e-āmdam āftāb aane ko hai
phir hinā.ī hone vaale haiñ mire qātil ke haath
phir zabān-e-teġh par rañg-e-shahāb aane ko hai
gudgudātā hai tasavvur chuTkiyāñ letā hai dard
kyā kisī be-ḳhvāb kī āñkhoñ meñ ḳhvāb aane ko hai
dekhiye maut aa.e 'fānī' yā koī fitna uThe
mere qaabū meñ dil-e-be-sabr-o-tāb aane ko hai