vaa.iz tū agar un ke kūche se guzar jaa.e
firdaus kā manzar bhī nazroñ se utar jaa.e
rūdād-e-shab-e-ġham yuuñ Dartā huuñ sunāne se
mahfil meñ kahīñ un kī sūrat na utar jaa.e
ik vāda-e-fardā kī ummīd pe zinda huuñ
ai kaash kisī sūrat ye raat guzar jaa.e
kaabe hī ke raste meñ mai-ḳhāna bhī paḌtā hai
uljhan meñ ye rah-rau hai jaa.e to kidhar jaa.e
tum un se milo 'dānish' ye dhyān rahe lekin
ḳhuddāri-e-fitrat kā ehsās na mar jaa.e