Sultan Shahid

raat din sham-o-sahar sab ek rang

Sultan Shahid

raat din shām-o-sahar sab ek rañg
hādse ḳhair-o-ḳhabar sab ek rañg
ek rañg āb-o-havā-e-ḳhushk-o-tar
bahr-o-bar sair-o-safar sab ek rañg
har taraf vīrāniyāñ haiñ ḳhema-zan
ghar khañDar sahrā nagar sab ek rañg
jaane kas mausam nai ye manzar diyā
ḳhār, gal, barg-o-samar sab ek rañg
nek-o-bad-kirdār kī pahchān kyā
jin parī pathar bashar sab ek rañg
Top Urdushayar.com