mahaktī āñkhoñ meñ sochā thā ḳhvāb utreñge
patā na thā ki yahāñ bhī azaab utreñge
fareb khā.egī har baar merī tishna-labī
badan ke dasht pe jab jab sarāb utreñge
mirī lahad pe na raushan kare charāġh koī
ye vo jagah hai jahāñ āftāb utreñge
safed-poshoñ kī kab tak chhupeñgī kartūteñ
ki dhīre dhīre sabhī ke naqāb utreñge
nazar jamā.e haiñ dahlīz-e-intizār pe ham
farāz-e-ka.aba se izzat-ma.āb utreñge
gunāh lagtī hai ulfat tumheñ to lagne do
ye vo gunāh hai jis par savāb utreñge
tamām hogī tabhī to kitāb-e-zīst 'razā'
ġham-e-hayāt ke jab intisāb utreñge