Raza Mauranvi

kisi ke zaKHm par ashkon ka phaha rakh diya jae

Raza Mauranvi

kisī ke zaḳhm par ashkoñ kā phāhā rakh diyā jaa.e
chalo sūraj ke sar par thoḌā saaya rakh diyā jaa.e
mire mālik sar-e-shāḳh-e-shajar ik phuul kī mānind
mirī be-dāġh peshānī pe sajda rakh diyā jaa.e
gunahgāroñ ne sochā hai musalsal nekiyāñ kar ke
shab-e-zulmat ke siine par ujālā rakh diyā jaa.e
tan-e-be-sar huuñ mere saa.e meñ ab kaun baiThegā
daraḳhtoñ meñ mire hisse kā saaya rakh diyā jaa.e
bulāte haiñ hameñ mehnat-kashoñ ke haath ke chhāle
chalo muhtāj ke muñh meñ nivāla rakh diyā jaa.e
duā.eñ māñgte haiñ vo hamāre rizq kī ḳhātir
faqīroñ ke liye thoḌā sā aaTā rakh diyā jaa.e
mujhe chalne nahīñ deñge ye mere paañv ke chhāle
mire talvoñ ke nīche koī kāñTā rakh diyā jaa.e
rivājoñ kī vo kasrat hai ki dam ghuTne lagā apnā
uThā kar ab 'razā' pārīna qissa rakh diyā jaa.e
Top Urdushayar.com