ye kis dayār ke haiñ kis ke ḳhāndān se haiñ
asiir ho ke bhī jo log itnī shaan se haiñ
mile uruuj to maġhrūr mat kabhī honā
bulandiyoñ ke sabhī rāste Dhalān se haiñ
tum apne ūñche mahal meñ raho magar socho
tumhāre saa.e meñ kuchh log be-nishān se haiñ
zamīn-e-karb kī har fasl kā jo mālik hai
hamāre dard ke rishte isī kisān se haiñ
mahak rahe haiñ gul-e-zaḳhm-e-ārzū har pal
mirī hayāt ke sab rañg zāfrān se haiñ
sunā rahe haiñ vahī dāstān-e-zulm-o-sitam
hamārī aañkh meñ aañsū jo be-zabān se haiñ
kahāñ tak aap chhupā.eñge dāstān-e-sitam
kitāb-e-jism pe ab bhī ka.ī nishān se haiñ
ye kaun tujh ko bachā.e hai har balā se 'razā'
ye kis ke haath tire sar pe āsmān se haiñ