zindagī ab is qadar saffāk ho jā.egī kyā
bhuuk hī mazdūr kī ḳhūrāk ho jā.egī kyā
mere qātil se koī ai kaash itnā pūchh le
ye zamīñ mere lahū se paak ho jā.egī kyā
har taraf uryāñ-tanī ke jashn hoñge roz o shab
is qadar tahzīb-e-nau bebāk ho jā.egī kyā
baḌh gayā saaya agar qad se to baḌhne dījiye
ḳhaak uḌ kar hamsar-e-aflāk ho jā.egī kyā
qaid-e-hastī se ba-mushkil ho sakā thā maiñ rihā
merī miTTī kāsa-gar kā chaak ho jā.egī kyā
saarī duniyā Dhal rahī hai maġhribī tahzīb meñ
be-hayā.ī ab mirī poshāk ho jā.egī kyā
vāqa.ī dariyā-e-ġham ke tez dhāroñ meñ 'razā'
zindagī merī ḳhas-o-ḳhāshāk ho jā.egī kyā