Raza Mauranvi

yunhi zalim ka raha raj agar ab ke baras

Raza Mauranvi

yūñhī zālim kā rahā raaj agar ab ke baras
ġhair-mumkin hai rahe dosh pe sar ab ke baras
jism bo.eñge sitamgār anājoñ kī jagah
aur fasloñ kī tarah kāTeñge sar ab ke baras
zehn se kaam lo aur moḌ do tūfān kā ruḳh
varna aañsū meñ hī bah jā.eñge ghar ab ke baras
jaane kis vaqt ajal aap ko lene aa jaa.e
saath hī rakhiyegā sāmān-e-safar ab ke baras
naḳhl-e-hasrat ko na ashkoñ kī namī do varna
aur mahkegā gul-e-zaḳhm-e-jigar ab ke baras
ab na ghabrāo ki miTne ko hai zālim kā vajūd
ḳhūn-e-mazlūm dikhā.egā asar ab ke baras
Top Urdushayar.com