Raza Mauranvi

is tarah aankhon ko nam dil par asar karte hue

Raza Mauranvi

is tarah āñkhoñ ko nam dil par asar karte hue
jā rahā hai kaun nezoñ par safar karte hue
zindagī fāqoñ ke saa.e meñ basar karte hue
jī rahā huuñ ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-jigar karte hue
likh rahā huuñ naam bachchoñ ke ġhamoñ kī jā.idād
un kī sub.h-e-zindagī ko dopahar karte hue
itne vahshat-nāk manzar putliyoñ meñ bas ga.e
ḳhvāb bhī Darne lage āñkhoñ meñ ghar karte hue
sīna-e-mauj-e-ravāñ ko ābloñ se bhar diyā
pyaas kī shiddat ne paanī par asar karte hue
vaqt kī raftār se bhī tez chalnā hai mujhe
jā rahā huuñ ab havā ko ham-safar karte hue
jaane kitnī Thokareñ khā.īñ haiñ maiñ ne ai 'razā'
e'tidāl-e-zindagī ko tez-tar karte hue
Top Urdushayar.com