kāġhaz kāġhaz dhuul uḌegī fan banjar ho jā.egā
jis din sūkhe dil ke aañsū sab patthar ho jā.egā
TūTeñgī jab niiñd se palkeñ so jā.ūñgā chupke se
jis jañgal meñ raat paḌegī merā ghar ho jā.egā
ḳhvāboñ ke ye panchhī kab tak shor kareñge palkoñ par
shaam Dhalegī aur sannāTā shāḳhoñ par ho jā.egā
raat qalam le kar aa.egī itnī siyāhī chhiḌkegī
din kā saarā manzar-nāma be-manzar ho jā.egā
nāḳhun se bhī iiñT kuredeñ mil-jul kar ham-sā.e to
āñgan kī dīvār na TuuTe lekin dar ho jā.egā
'qaisar' ro lo ġhazleñ kah lo baaqī hai kuchh dard abhī
aglī rutoñ meñ yuuñ lagtā hai sab patthar ho jā.egā