Qaisarul Jafri

shahr-e-ghazal mein dhul uDegi fan banjar ho jaega

Qaisarul Jafri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1926-2005
shahr-e-ġhazal meñ dhuul uḌegī fan banjar ho jā.egā
jis din sūkhe dil ke aañsū sab patjhaḌ ho jā.egā
TūTeñgī jab niiñd se palkeñ so jā.ūñgā chupke se
jis jañgal meñ raat paḌegī merā ghar ho jā.egā
ḳhvāboñ ke ye panchhī kab tak shor kareñge palkoñ par
shaam Dhalegī aur sannāTā shāḳhoñ par ho jā.egā
raat qalam le ke aa.egī itnī siyāhī chhiḌkegī
din kā saarā manzar-nāma be-manzar ho jā.egā
dil kī kashtī ek taraf hai lākhoñ duā.eñ ek taraf
sūkhā to kyā ġham kā dariyā chullū bhar ho jā.egā
'qaisar' ro lo ġhazleñ kah lo baaqī hai kuchh dard abhī
aglī rutoñ meñ yuuñ lagtā hai sab patthar ho jā.egā
Top Urdushayar.com