havā bahut hai matā-e-safar sambhāl ke rakh
darīda chādar-e-jāñ hai magar sambhāl ke rakh
phir us ke ba.ad to qadreñ inhīñ pe uTTheñgī
kuchh aur roz ye dīvār-o-dar sambhāl ke rakh
abhī uḌaan ke sau imtihān baaqī haiñ
in āñdhiyoñ meñ zarā bāl-o-par sambhāl ke rakh
ye ahd kaañp rahā hai zamīñ ke andar tak
tū apnā haath bhī dīvār par sambhāl ke rakh
paḌheñge log inhīñ meñ kahāniyāñ terī
kuchh aur roz ye dāmān-e-tar sambhāl ke rakh
havā ke ek hī jhoñke kī der hai 'qaisar'
kisī bhī taaq pe sham-e-sahar sambhāl ke rakh