bastī meñ hai vo sannāTā jañgal maat lage
shaam Dhale bhī ghar pahuñchūñ to aadhī raat lage
muTThī band kiye baiThā huuñ koī dekh na le
chāñd pakaḌne ghar se niklā jugnū haat lage
tum se bichhḌe dil ko ujḌe barsoñ biit ga.e
āñkhoñ kā ye haal hai ab tak kal kī baat lage
tum ne itne tiir chalā.e sab ḳhāmosh rahe
ham taḌpe to duniyā bhar ke ilzāmāt lage
ḳhat meñ dil kī bāteñ likhnā achchhī baat nahīñ
ghar meñ itne log haiñ jaane kis ke haat lage
sāvan ek mahīne 'qaisar' aañsū jīvan bhar
in āñkhoñ ke aage bādal be-auqāt lage