TuuTe hue ḳhvāboñ kī chubhan kam nahīñ hotī
ab ro ke bhī āñkhoñ kī jalan kam nahīñ hotī
kitne bhī ghanere hoñ tirī zulf ke saa.e
ik raat meñ sadiyoñ kī thakan kam nahīñ hotī
hoñToñ se piyeñ chāhe nigāhoñ se churā.eñ
zālim tirī ḳhushbu-e-badan kam nahīñ hotī
milnā hai to mil jaao yahīñ hashr meñ kyā hai
ik umr mire va.ada-shikan kam nahīñ hotī
'qaisar' kī ġhazal se bhī na TuuTī ye rivāyat
is shahr meñ nā-qadri-e-fan kam nahīñ hotī