zaḳhmoñ ko marham kahtā huuñ qātil ko masīhā kahtā huuñ
jo dil par guzrā kartī hai maiñ pardā pardā kahtā huuñ
zulfoñ ko ghaTā.eñ kahtā huuñ ruḳhsār ko sho.ala kahtā huuñ
tum jitne achchhe lagte ho maiñ us se achchhā kahtā huuñ
ab riit yahī hai duniyā kī tum bhī na bano begāna kahīñ
ilzām nahīñ dhartā tum par ik jī kā dhḌaknā kahtā huuñ
arbāb-e-chaman jo kahte haiñ vo naam mujhe ma.alūm nahīñ
jis shāḳh pe koī phuul na ho maiñ us ko tamannā kahtā huuñ
'qaisar' vo navā lā-hāsil hai jo aa ke laboñ par lahrā.e
chhū le jo diloñ kī gahrā.ī maiñ us ko naġhma kahtā huuñ