Qaisarul Jafri

teri bewafai ke baad bhi mere dil ka pyar nahin gaya

Qaisarul Jafri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1926-2005
tirī bevafā.ī ke baad bhī mire dil kā pyaar nahīñ gayā
shab-e-intizār guzar ga.ī ġham-e-intizār nahīñ gayā
maiñ samundaroñ kā nasīb thā mirā Dūbnā bhī ajiib thā
mire dil ne mujh se bahut kahā maiñ utar ke paar nahīñ gayā
tū mirā sharīk-e-safar nahīñ mire dil se duur magar nahīñ
tirī mamlikat na rahī magar tirā iḳhtiyār nahīñ gayā
use itnā sochā hai roz o shab ki savāl-e-dīd rahā na ab
vo galī bhī zer-e-tavāf hai jahāñ ek baar nahīñ gayā
kabhī koī vaada vafā na kar yūñhī roz roz bahāna kar
tū fareb de ke chalā gayā tirā e'tibār nahīñ gayā
mujhe us ke zarf kī kyā ḳhabar kahīñ aur jā ke hañse agar
mire hāl-e-dil pe to ro.e bin koī ġham-gusār nahīñ gayā
use kyā ḳhabar ki shikastagī hai junūñ kī manzil-e-āgahī
jo matā-e-shīsha-e-dil liye sar-e-kū-e-yār nahīñ gayā
mirī zindagī mirī shā.irī kisī ġham kī den hai 'jāfarī'
dil o jaañ kā qarz chukā diyā maiñ gunāhgār nahīñ gayā
Top Urdushayar.com