musāfiroñ kā kabhī e'tibār mat karnā
jahāñ kahā thā vahāñ intizār mat karnā
meñ niiñd huuñ mirī had hai tumhārī palkoñ tak
badan jalā ke mirā intizār mat karnā
meñ bach gayā huuñ magar saare ḳhvāb Duub ga.e
mirī tarah bhī samundar ko paar mat karnā
bahā lo apne shahīdoñ kī qabr par aañsū
magar ye hukm hai katbe shumār mat karnā
havā aziiz hai lekin ye us kī zid kyā hai
tum apne ghar ke charāġhoñ ko pyaar mat karnā
ye vaqt band darīchoñ pe likh gayā 'qaisar'
maiñ jā rahā huuñ mirā intizār mat karnā