ahd-e-junūñ meñ baiThe baiThe jo ġhazleñ likh Daalī thiiñ
ham ko rusvā duniyā bhar ko pāgal karne vaalī thiiñ
āñkhoñ meñ vo shaam kā TukḌā aksar chubhtā rahtā hai
ghar meñ āñdhī jab aa.ī thī sham.eñ jalne vaalī thiiñ
chāñd sitāre TuuT rahe the ḳhvāboñ kī añgnā.ī meñ
aañkh khulī to dekhā ghar kī sab dīvāreñ kaalī thiiñ
chuTkī bhar ummīd nahīñ thī kaasa le kar kyā phirte
shahr-e-vafā kī saarī galiyāñ apnī dekhī-bhālī thiiñ
pyaar kā mausam biit chukā thā bastī meñ jab pahuñche ham
logoñ ne phūloñ ke badle talvāreñ mañgvā lī thiiñ
'qaisar' dil kā haal sunā kar jab yāroñ kā muñh dekhā
sab ke chehre sūkhe sūkhe sab kī āñkheñ ḳhālī thiiñ