maiñ pichhlī raat kyā jaane kahāñ thā
duāoñ kā bhī lahja be-zabāñ thā
havā gum-sum thī suunā āshiyāñ thā
parinda raat bhar jaane kahāñ thā
havāoñ meñ uḌā karte the ham bhī
hamāre sāmne bhī āsmāñ thā
mirī taqdīr thī āvāragardī
mirā saarā qabīla be-makāñ thā
maze se so rahī thī saarī bastī
jahāñ maiñ thā vahīñ shāyad dhuāñ thā
maiñ apnī laash par aañsū bahātā
mujhe dukh thā magar itnā kahāñ thā
safar kaaTā hai kitnī mushkiloñ se
vahāñ saaya na thā paanī jahāñ thā
kahāñ se aa ga.ī ye ḳhud-numā.ī
vahīñ pheñk aao ā.īna jahāñ thā
maiñ qatl-e-ām kā shāhid huuñ 'qaisar'
ki bastī meñ mirā ūñchā makāñ thā