zehn meñ kaun se aaseb kā Dar bāñdh liyā
tum ne pūchhā bhī nahīñ raḳht-e-safar bāñdh liyā
be-makānī kī bhī tahzīb huā kartī hai
un parindoñ ne bhī ek ek shajar bāñdh liyā
rāste meñ kahīñ gir jaa.e to majbūrī hai
maiñ ne dāmān-e-darīda meñ hunar bāñdh liyā
apne dāman pe nazar kar mire hāthoñ pe na jā
maiñ ne pathrāo kiyā tū ne samar bāñdh liyā
ghar khulā chhoḌ ke chupke se nikal jā.ūñgā
shaam hī se sar-o-sāmān-e-sahar bāñdh liyā
umr bhar maiñ ne bhī sāhil ke qasīde likkhe
mere bachchoñ ne bhī ik ret kā ghar bāñdh liyā
haar bedard havāoñ se na maanī 'qaisar'
bādbāñ pheñk ke qadmoñ se bhañvar bāñdh liyā