Qaisarul Jafri

ye zindagi hai ki aaseb ka safar hai miyan

Qaisarul Jafri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1926-2005
ye zindagī hai ki aaseb kā safar hai miyāñ
charāġh le ke nikalnā baḌā hunar hai miyāñ
pata chale jo mohabbat kā dard le ke chalo
mire makāñ kī galī kitnī muḳhtasar hai miyāñ
nahā.eñgī mirī zau meñ hazār-hā sadiyāñ
maiñ vo charāġh nahīñ huuñ jo raat bhar hai miyāñ
tumhārī raat pe itnā hī tabsira hai bahut
makīñ añdhere meñ haiñ chāñdnī meñ ghar hai miyāñ
likhā hai vaqt ne sadiyoñ safar ke ba.ad use
ye daur jhuuT sahī phir bhī mo'atabar hai miyāñ
milegī raakh na tum ko hamāre chehre par
badan meñ rah ke sulagnā baḌā hunar hai miyāñ
ab intizār kī tāqat nahīñ rahī 'qaisar'
kuchh aur roz na sochā to sab khañDar hai miyāñ
Top Urdushayar.com