Dūbne vaalo havāoñ kā hunar kaisā lagā
ye kinārā ye samundar ye bhañvar kaisā lagā
poñchhte jā.iye dāman se lahū māthe kā
sochte jā.iye dīvār ko sar kaisā lagā
haT ga.ī chhāñv magar log vahīñ baiThe haiñ
dasht kī dhuup meñ jaane vo shajar kaisā lagā
dar-o-dīvār haiñ maiñ huuñ mirī tanhā.ī hai
chāñdnī raat se pūchho mirā ghar kaisā lagā
is se pahle kabhī poñchhe the kisī ne aañsū
un kā dāman tujhe ai dīda-e-tar kaisā lagā
sahl thiiñ marhala-e-tark-e-vafā tak rāheñ
is se aage koī pūchhe ki safar kaisā lagā
aañkh se dekh liyā tark-e-vatan kā manzar
ghar jahāñ chhoḌ ga.e the vo khañDar kaisā lagā
vo mujhe sun ke baḌī der se chup hai 'qaisar'
jaane us ko mirī ġhazloñ kā hunar kaisā lagā